A Baby Doll, on her sixth birthday, sings a poem written by her father.
Mama Ne Kahaa Tha,
Papa Ne Likhi Hai,
Ek Chhoti Si Kavita...
Mera Naam Kavita Hai…
Mama Mujhko Kehti Hai, Phoolon Ki Daali Hoon,
Papa Ne Yeh Likha Hai, Subah Ki Laali Hoon…
Phoolon Ki Daali Ki,
Subah Ki Laali Ki,
Ek Chhoti Si Kavita…
Mera Naam Kavita Hai…
Jab Mama Ruth Jaati Hai, Toh Papa Manaate Hai,
Main Ruth Jaati Hoon, Toh Mujhko Sunaate Hai,
Mama Ke Ruth Jane Ki,
Mujhko Manaane Ki,
Ek Chhoti Si Kavita………
Mera Naam Kavita Hai……
Mama Papa Ne Ek Dujhe Se, Bahot Pyaar Kiya Hai,
Mere Khwaab Dekhe Hai, Mera Intezaar Kiya Hai,
Mama Papa Ke Pyaar Ki
Mere Aane Ke Intezaar Ki
Ek Chhoti Si Kavita…
Mera Naam Kavita Hai…
Very Very Nice Poem
ReplyDeleteNice Poem I like it...........
ReplyDeleteHi Ananth,
ReplyDeleteWow, beautiful words in rhythmic motion along with the photo. Loved this. :)
P.S. Do check out & vote for my entry for Get Published.
Regards
Jay
My Blog | My Entry to Indiblogger Get Published
Thanks Jay.
DeleteVery cute!
ReplyDeleteThank you Jahid... I had written it for my daughter...
DeleteIss kavita me, Ek pyaari si masoom si kavita dikhti hai.. :)
ReplyDeleteThanks...
DeleteKavita ke baare me yeh kavita bhut pyari lagi :)
ReplyDeletemanjulikapramod.com